Blogs » Health » Facial cupping kya hai?

Facial cupping kya hai?

  • Skin expert mante hai ki facial cupping se behtar result aae hai. lekin facial cupping therapy ko use karne ke lie kuch saavdhaniya bhi zaruri hai. chehre me zyada daag dhabbe hone se aksar log stress me a jate hai. inhe door karne ke lie tarah tarah ke jatan karte hai aise me aapko ek bar is natural facial cupping ka use karke zarur dekhna chahiye.

    Facial Cupping ka first step hai chehre ki safai –
    Facial Cupping therapy ke lie sabse pahle chehre aur neck ki gahrai se safai ki jati hai. aur phir kuch medicated oils se face ka massage kiya jata hai. kuch der baad face ki muscle ko relax karne ke lie Cup ko pure chehre par ghumaya jata hai. is tarah cup reverse section shuru hota hai jo oxigen supply badhakar aur blood circulation me sudhar lakar face ke tissue ko regenerate karne ke lie ek vacuum banata hai. isse tissue ki layers alag alag hoti hai. face ki tense muscles ko aram milta hai aur skin ko ek proper treatment milta hai.

    Facial Cupping ke faede –
    Facial cupping muscles ke tanaav ko kam karti hai. collagen ko badhava dene wali skin cells ko active karti hai. blood circulation aur oxigen ko badhati hai. face tissue ko strong karti hai face par ek healthy shine laati hai. wrinkles kaale daag dhabbo ke sath badhti age ke effect ko kam karti hai. aur face ki fine lines ko bhi kam karti hai.

    Facial Cupping Ghar par kaise kare –
    Achhe management aur kuch precautions ke sath facial cupping ghar par bhi ki ja sakti hai. lekin agar apki skin bahot sensitive hai toh usko TLC ki zarurat padti hai. ghar par facial cupping ke lie pahle face ki gandgi ko saaf kare. phir kisi natural oil se face ki dheere dheere massage kare. suction cup se dheere se skin ko dabaae. jab skin par khichaav mahsoos hone lage toh dheere dheere dusri taraf kare. ise hamesha face ke beech ke part se shuru kare. nose aur eyebrow ke lie chote cup aur forehead aur cheeks ke lie bade cup ka use kare. is process ko 5 se 10 min. tak hi kare.

    READ ALSO – Secrets of Glowing Skin in Hindi

    BB cream and CC cream difference in hindi

    Facial cupping kab nahi karni chahiye –
    Waise toh facial cupping ke koi side effect nahi hai na hi kabhi iske harmful effect samne aae hai. lekin iske result bhi isi baat par depend karte hai ki apki skin kis type ki hai. jiski wajah se kuch halke side effects ho sakte hai. jaise nausea , dizziness , thand lagna , jalan ya rashes. yahi wajah hai ki skin par swelling ya kisi bhi tarah ki chot hone par is therapy ki salah nahi di jati hai. facial cupping ka use karne se pahle beauty expert ki salah zarur le aur unke batae gae rules hi follow kare.

    Facial cupping , Ayurved ki ek paddti hai jiska use bahot purane zamane se hi blood ko pure karne ke liye kiya jata hai. isse blood circulation achha hota hai aur skin me glow ata hai. iska asar hormones ki gadbadi ko door karne ke taor pe bhi dekha gya hai . islie agar ye kisi expert se karai jaae toh bahot achhe result milte hai.

    READ ALSO – Damage and dry skin tips

    rare beauty india